How to install Microsoft office 2016 in windows 10 in hindi

 

Hi, friends aaj ke blog mein mai apko bataunga ki aap "Microsoft Office 2016" ko kaise free mein Install kar sakte hai aur use activate kar sakte hain. Blog mein niche aapko download ka link mil jaega vahan se aap Microsoft office 2016 ki file Ko download kar sakte hain.


File Ko download karne ke bad aapane jis folder mein ise save kiya hai voh folder app open karenge.
   
Folder ko open karne ke bad aap file per right click karenge aur use extract karenge. 

File ke extract hone ke bad aap use double click karke folder ko open karenge. Folder ko open karne ke bad usmein bahut sari files dikhenge aapko niche wali file mein "Set Up" wale application ko open karna hoga.

 Iske bad aap ke Microsoft office 2016 ki application run hona shuru ho jayegi.

 Iske bad aapko terms and condition ka page open hoga voh aap padh sakte hain uske bad ise accept per click karke aap next per click karenge. Iske bad aapko "Choose the installation you want" karke two option milenge ek "Install now" ka aur ek "Customize" ka. Agar aap "Customize" wale option per click karte Hain to aap usmein choose kar sakte hain ki aap ko kaun kaun se software ko install karna hai agar aap "Install now" par click karte Hain to sabhi software apke install ho jaenge main isme maie abhi install now per click karunga.

 Yah hamara install hona shuru ho chuka hai.

 15 se 20 minutes ke complete hone ke bad hamara yah install complete ho chuka hai aap simply ab close per click karenge. 

Isko activate karne ka text maine niche blog mein de rakha hai aap use simply jakar copy karenge. Aap file ko "Notepad" mein open karenge to fir ise "File" wale option mein jaenge aur "Save As" wale option per click karenge.

 Aur ise save karne se pahle iske extension me .cmd  ko laga denge aur aap ise desktop par save kar lenge.

 Iske bad aap dekstop per jayenge.

 Aur "MS-Activator 2016.cmd" wali file par right click karenge. Aur ise "Run as administrator" per click karke is open karenge.


 Iske bad yah file open ho jayegi aur aapko yah Dhyan rakhna hoga ki aapka internet connection on hona chahie yeh file kam se kam 4 se 5 minute ka samay legi uske bad aapka MS office activate ho jaega.

 Aap dekh sakte hain ki hamara MS office activate ho chuka hai. Aap ab Bina kisi pareshani se MS-Office ko free mein use kar sakte hain.
 
Agar aapko ismein aur bhi koi problem yah query ho to aapko iska full video niche description mein mil jaega aap vahan jakar is video Ko dekhkar aap apni sari problems ko dur kar sakte hain. Toh friends fhir milte hai aise hi kisi informative Blog mai.
Thank You

 Microsoft Install Video: https://youtu.be/P1Nv47cCk5M

 Microsoft office 2016: http://www.mediafire.com/file/8z0gwvs3pcm2mpg/Office_Pro_Plus_2016_x64_Feb_2018.rar/file

Activator Text Here: http://www.mediafire.com/file/i7wmgboxj7lnag9/MS-Activator_2016.txt/file

Post a Comment

0 Comments