Dual Boot Kali Linux And Window 10/8/7

 Hi friends aaj ke blog Mein Ham Kali Linux ko Apne PC/Laptop me install Karna  the sikhenge. Aur yah bhi janenge ki windows 10 aur Kali Linux ko ham ek hi PC mein dual-boot karenge. sabse pahle aap Kali Linux ki ISO file download karenge uska link maine blog mein niche de rakha hai simply vahan jakar aap ise download kar sakte hain. 

Agar aapka PC 32 bit ka hai to aap 32 bit ISO file download karenge agar 64 bit ka hai to 64 bit ISO file download karenge.

ISO file download karne ke bad. Pendrive ko bootable banane ke liye Rufus software ka use karenge.

Dono file ko download karne ke bad jis folder mein bhi aapane ise save kiya hai voh aap open karenge.

Sabse pahle aap Rufus software ko open karenge. 8 GB /32 GB ka pen drive aap Apne PC mein Laga lenge. Aur apni ISO file ko boot selection option may select kar lenge. Agar aapki pendrive mein aapka koi deta jaruri ho to aap uska backup pahle se hi rakh le kyunki yah pen drive Ab format hogi. Iske bad aap start par click Kare.

Pendrive ke boot hone ke bad aap. Search wale option mein aap type Karen "Create and format hard disk partitions".

Aur ise open Karen. Iske bad aap apni kisi bhi local disk mein se 40 GB ya 50 GB memory shrink Karen.
Yah sabhi steps complete karne ke bad aap apne PC ko restart karenge. Aap apne boot menu mein jayenge aur boot menu mein jaane ke liye aap apne computer mein f10 yah f12 key ka prayog Karen.
Iske bad aap apni pendrive ko select Karen.

Click karne ke bad Kali Linux ki ek install window open hogi usmein sabse pahle aap first option Graphical install per click Karen.
Iske bad aap language select Karen. Iske bad location select Karen. Iske bad aap apna username type Karen aur password type Karen. Partition disks ki ek window open hogi. Ismein aap first wale option per click karenge. Iske bad  window open hogi usmein bhi aap "Guided-use the largest continuous free space" wale option for click karenge.
Uske bad aapko "All files in one partition" wale option per click kare.

Fhir aap "Finish partitioning and write changes to disk" wale option per click Karen.
Uske bad aap ki kali linux install hona shuru ho jayegi ya kam se kam 20 se 25 minut legi. Haa toh friend ye hamari Kali Linux install ho chuki hai.
Agar aapko ismein koi step samajh Na aaye ho ya koi step miss ho gaya ho to aap niche blog mein Apkoe pure method ka video banaya hua mil jayega/ Ya aap mere youtube Channel (DesiPcFixer) Par jakar bhi dekh sakte hain usmein aap ke sabhi doubt clear ho jayenge.

Kali Linux Iso: https://www.kali.org/downloads/

Rufus: https://rufus.ie/

Youtube Video: https://youtu.be/xGEQI474YPE

Thank You Friends fhir milte hain aise hi kisi Informative Blog Mein.


Post a Comment

0 Comments