Lenovo G580 Ram upgrade Upto 6GB

 

Hi, friends aaj ke blog mein ham baat karenge ki aap Lenovo G580 laptop ya is series ke laptops ki ram ko kaise change yah upgrade kar sakte hain. Pahle main aapko Apne laptop me install ram ki photo ko niche dikhaunga jismein aap dekh pa rahe honge ki ismein abhi 2GB ki Ram install hai.


 Abhi ham ismein 4GB ki RAM install karenge jisse ki hamari total 6gb Ram ho jayegi.

Sabse pahle aapko ek 4GB ki RAM Apne kisi nearby computer shop se purchase karni hogi jiski specification aapke Lenovo g580 ki RAM se milte Ho. Iske bad aap apne PC ko ulta karenge, matlab ke back side mein rakhenge aur uske 2 screws ko open karenge jiski photo mein niche de rakhi hai.

Dono screws ko open karne ke bad aap iske panel ko niche ki taraf se slide karenge jiski photo main niche de rahi hai.
Laptop ke panel ko hatane ke bad aap dekh pa rahe honge ki ismein uparki taraf 2 GB ki RAM hamari install hai jiski maine niche photo de rakhi hai.

Iske bad aap iski 2GB ram ko pahle nikalenge ram ko nikaalne ke liye aapko Ram ki donon side mein iske lock ko hatana hoga aur ise upar nikal lenge. 2GB ram ko nikalne ke bad aap iske neeche wale slot mein 4 GB ki ram ko install karenge.


 4GB ki ram ko install karne ke bad aap iske upar wale slot main wapas 2GB ki RAM Ko install kar denge. aapane jab yah donon ram ko Install kar diya ho to aapko yah Dhyan rakhna hoga ki dono ram hamari acchi se install ho gayi ho aur iske lock achhe se band ho.

Iske bad aap panel ko wapas se band kar denge aur main ab aapko niche dikhaunga ki mere laptop mein 6GB RAM show karega to aap dekh sakte hain ki niche mere computer ki screen ka screenshot hai ismein 6gb ki Ram install Kari Hui dikha raha hai.

Isse meri laptop ki performance kafi acchi ho gayi hai. Aur mera laptop pahle ke mukable me fast chal raha hai. Agar aapko yah Mera blog achcha laga to aap mere Youtube Channel Ko subscribe kar sakte hai. Youtube channel me apko Pc/Laptop ki problems ka solution/ Software related query Ka solution aur bhi bhaut Informative video mil jayegi. Subscribe karne ka link apko niche mil jayega. Agar aapko ismein aur bhi koi problem yah query ho to aapko iska full video niche blog mein mil jaega aap vahan jakar is video Ko dekhkar aap apni sari problems ko dur kar sakte hain.

Thank You

Lenovo G580 Ram Upgrade Video: https://youtu.be/qqo2SKy93UE

Post a Comment

0 Comments